AAP KI TAARIFE
Ye surat hai aapki ya
chand ne mushkuraya abhi abhi
Ye julphe hain aapki ya
ghata ye aasman se brasta hua
Ye aankhe hain aapki ya
Mera sara jahan isme
Chehre pe aati ye julphe
jaise chandani ke samay me
ragni me chhup gaya ho chand
Ye hasi aapki jaise
hawaye suna jati ho koi
madhur se swar pyari si
Ye chamak aapke nigahon ki
jaise timtimate huye dilkash shitare
Yu chehre pe jhuki nigahe aapki
jaise sharma gaya ho ye sara jahan
Yu mushkurakar dekhne ki ada
aapki jaise mehrbaan hua ho
khuda hmpe aaj
Aap ki aankhen, Unchi huai to dua ban gai,
Nichi huai to haya ban gai,
Jo jhukh kar uthi to khata ban gai,
Aur uth kar jhuki to ada ban gai
Jo gussa krne ki ada aapki
Jaise kisi ne apna samjha ho hme
Jo baat karne ki ada aapki
jaise itra rahin ho saare jahan se
Jo baat krne ki ada aapki
Jaise kisine phli dafa pyar se bola ho
Wo shadgi aapki jaise
jagmaga utha ho ye sara jahan
aapni khubshurti me aur
Jab shaj jaye aap to jaise
shajde me khara ho jaise
ye sara jahan aapki khubshurti ke
Kam par gaye hamare alfaj aaj jo hm baithe aapki khubshurti baya karne
Bas yu keh dunga khuda ne ek banaya aapko barso tak sab ko chhor kar
Please follow us for more.
Visit us also at:-
Www.smilingsingingsuccess.com
No comments:
Post a Comment